Jeete Hain Chal



Kehte h kagaz ki kashti ki raah aasaan nhi hoti,
sukhe ped pr kha chidiya chahchahati,
fir bhi kitni jarjar ho jaye ye jaan,jeene ki aas khin nhi jati,
Ye ummeed hi toh h jo hme jeena seekhati.....


Woh sacche sainik the jo mar ke amar rh gye,
Neerja naam ki shakti ke virudh sab dhay gye,
Kaun kehta hai ki hm gir k haar gye,gawaah h duniya sari,
ye sir jhukta nhi, kuch aisi shkshiyt h hmari!!


Ye kabhi socha nhi ki dil se naram hona gunaah hai,
agar hai toh hai ye dil tab bhi aisa tha, aur aise bhut yhan h,
khud ki sochkar aagey badhne mein koi buraai nhi..
pr raste pe jahaan dikha toh jindagi fanaa h......


In talwon k neeche hai apni dharti,
Jo khud hi kehti hai aaj daudenge,
Yaadon ke dakshon mein ik zinda si khushboo hai,
Jo kehti hai sab peeche chodenge.....


Ik tukda tere jazbaat se woh hasi chakh le,
woh hari bhari ped ki daali ye zindagi rakh le,
soch badl kr hm aagey bdhey yhi is pal ki guzarish h,
woh bheeni si khusboo jo mitti se aane lagi, haan yhi woh barish hai!!!


Woh keh gye ki hmne nhi socha apne bare mein,
Sochte toh na rhte aaj hmare karnaame akhbaaron mein,
Woh deeya na kabhi bujha hai aur na kabhi bujhega,
ye woh daali h, Jo jeete h is jahaan k liye aur is daali pr phool khila hai aur hmesha khilega!!



Kehta hai ye pal, khud se hi nikl,
Rasta bn jayega,darna nhi h iss pal,
jeete h chal, jeete h chal!!!



# Dedicated to all those Indians who sacrificed their life for mankind.
#  To all Soldiers, Common people, celebrities, writers, scientists etc
# Inspired by : Neerja ( Bollywood Movie )
# Sukhe ped , jahaan --> showing pathetic condition



-- Himanshu

Comments

Popular posts from this blog

The Cognition : A State Of Mind

DiffeRent ShAdes Of LoVe