Badlta Manjar : Nature and us
Sabr k badal jb zor se garjne lge, Kimkartavyvimoodh stithi panapne lge, Woh keh gye ki manav pragati pr h.. Ye aaina nhi Haqeeqat h shanti kidhar h? Ye ret h ya dariya kaun kisko nikhare, Tanha h agar ye safar, toh tanhai ke hi h sahare.. Badalne lg gya h woh manjar,bina kisi ishaare Ab woh purane din nhi h ,main kehta mere shehar tu na aa re !!! Kuch waqt pehle,aisa nhi tha yha.. Woh hari hari wadiya har trf thi jha, Koi ye btlaye ab woh h kha, Ye puch rha h tumse sara jahan, Kr sko toh kro apne shabdon mein bayaan? Kat rhi h woh sunahari si sheetal chaya, Jiske neeche na jane kitno ne apna bachpan beetaya, Us dharohar ko udhedkr kya sach mein humne sapnoka aashiyana bnaya... Is audyogikaran k chalte ye dhuaan dhuaan kisne failaya, Is dhara ko niraadhar kisne bnaya, Badh rha h para dhere dheere, Is prakriti k rosh ko kisne uksaya Kuch shabd uske bhi sunlo jiski aankhein jarur nam thi pr iraade nhi, Uthkr is chunouti ko.sweekar krne ka ab waq toh yhi h sahi,...